Ishq Tu Shugal hai Berozgar Jawano Ka.
Jin Ki Nokri Nahin Lagti, Wo Dil Laga Lete Hainm
Hum Bawafa The Is Liye Nazar Se Gir Ge.
Shayad Use Talash Kisi Bewafa Ki Thi.
Wo Mujhe Aid Nahin Kar Payi.
facebook K Siwa Kahin Par Bhi.
Bhool Ge Ho Chahne Walo.
Kia Yaad Bhi Mehngi Kar Do Haqomat Ne ?
Yahan Yahan Koi Thokar Hai Meri Qismat Main.
Wahan Wahan Ly Phirti Hai Zindgi Mujh Ko..
Hoon Mohabbat Se majboor Warna.
Tujhe Yad Karna--Sawab Thori Hai..
Lo Kisi Aur K Howe Hum Bhi,
Aaj us Ka Gharor Tote G..
Us Ki Ankhain Sawal Karti Hain
Meri Himmat Jawab Deti Hai...
Mujh Ko Adat Hai Roth jane Ki.
Aap Mujhe Mana Liya Kijiye Ga.
Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabat Nahi Mli
Tumhain Chahte Thay Par Teri Ulfat Nahi Mili
Milne Ko Tu Zindagi Mai Kai Hamsafar Mile
Par Un Ki Tabiat Se Tabiat Nahi Mli
Chehron Mai Dosron K Tuje Dhondte Rehe
Sorat Nahi Mli Khain Serat Nahi Mli
Bahot Der Se Aya Tu Mere Pas
Alfaz Dhondne Ki Bi Muhlat Nahi Mli
Tuj K Gila Hai K Twaja Na Di Tuje
Lekin Ham Ko Tu Khud Apni Mohabat Nahi Mli
Ham Ko Tu Teri Har Aadat Achi Lgi Faraz
Afsos K Tuj Se Meri Aadat Nahi Mli
Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain,
Faraz ab zara lehja badal ke dekhte hain,
Judaeyaan tau muqaddar hain phir bhi ay jaan-e-safar,
Kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain,
Rah-e-wafa mein hareef-e-kharaam koi to ho,
Sau apne aap se aagay nikal ke dekhte hain,
Tu samnay hai tau phir kyon yaqeen nahi aata,
Yeh baar baar jo aankhon ko mall ke dekhte hain,
Yeh kaun log hain moujood teri mehfil mein,
Jo lalichoon se tujhe, mujh ko jall ke dekhte hain,
Yeh qurb kya hai ke yakjaan huye na door huye,
Hazaar aik hi qaalib mein dhall ke dekhte hain,
Na tujh ko maat huyi hai na mujh ko maat huyi,
Sau ab ke dono hi chaalen badal ke dekhte hain,
Yeh kaun hai sar-e-saahil ke doobnay walay,
Samundaroon ki taho’n se ucchal ke dekhte hain,
Abhi talak tau na kundan huye na raakh huye,
Hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain,
Bohat dinon se nahi hai kuch us ki kher khabar,
Chalo Faraz kuu-e-yaar chal ke dekhte hain…
Yeh ishq bhi bardi na muraad cheez hai
Ussi se hota he jo kisi aur ka hota hai.
Agar hota he ittefaaq tou yun kiun nahi hota
Wo chale uss raah par jo mujh par khatam ho.
Tarteeb-e-sitam ka bhi saleeqa tha usse
Pehle pagal kiya mujhe phir pathar maare.
Tumhaara saath tasalsul se chaiye mujh ko
Thakan zamano ki lamhoun main kab utarti hai.
Tujhe ehsaas hi kab hai ke kisi dard ka daagh
Aankh se dil main utar jaye tou kiya hota
Tun ke seemab tabiyat he tujhe kiya maloom
Mousam-e-hijar teher jaye tou kiya hota
Teri Zaat Se Koi Shikwaah Nahi Dil.....
Chahne Walon Ko Aksat Saza Hi Milti Hai...
Laakh Kaata Hai Teri Yaadon Ko......
Kia Karon Phir Se Yeh Shajar Mujh Main Nikal Aata Hai....
Aaina Toot Bhi Tu Jata Sakta Hai....
Tum Sanwarte Howe Darte Nahin.....
Agr Chahon Tu Ek Nazar Main Khareed Loon Us Ko.....
Jis Ko Naaz Hai Bohat K Wo Bikta Nahin Hon Main....